Ho Mubarak Tumhe Ya Nabi
Bibi Zehra Ki Hai Rukhsati
Dulha Haider Bana Zehra Dulhan Bani
Is Ke Chehre Ka Ghaza Bani Hai Haya
Is Ke Mathe Ka Jhumar Hai Alhamd Ka
Innama Is Ke Haathon Ka Kangan Bana
Dekhiye Tu Guloo Band Hai Kulkafa
Khalq Mein Na Mili Aisi Dulhan Koi
Ayaton Se Libas e Uroosi Bana
Noor Chehre Pe Aaya Hai Wal Fajr Ka
Aur Kalai Ka Zevar Bani Hai Hal Ata
Goshware Muzzamil Ke Hain Ba Khuda
Saj Gain Fatima Parh Ke Nad e Ali
Aaj Dharti Falak Se Siwa Ho Gayi
Ye Zameen Ka Muqaddar Bhi Dekhe Koi
Sab Yahan Aa Gaye Khuld Khaali Hui
Aaj Khair Un Nisa Aisi Dulhan Bani
Aisa Doolha Bana Aaj Haq Ka Wali
Aisa Doolha Kahan Aisi Dulhan Kahan
Jin Ki Khushiyon Main Shaamil Hain Kon o Makaan
Jagmagane Lagi Arsh Par Kehkashan
Chand Dene Laga Aaj Khud He Azaan
Muskarakar Sada Yeh Sitaron Ne Di
Mominon Ke Liye Hai Khushi Ki Khabar
Gehma Gehmi Machi Hai Payamber Ke Ghar
Khush Hain Salman Miqdar O Boozar Udhar
Shadmani Hai Chehron Pe Sab Ke Magar
Jalne Walon Ke Dil Par Chhuri Chal Gayi
Tehniyat Ko Chale Arsh Se Ambiya
Aur Muhammad Ke Dar Pe Hua Jhamghata
Aake Jibraeel Ne Arsh Se Yeh Kaha
Keh Raha Hai Khuda Ay Habib e Khuda
Le Ke Baraat Ko Aa Rahe Hain Ali
Le Ke Baraat Sher e Khuda Aa Gaye
Lene Apni Dulhan Murtaza Aa Gaye
Milne Haider Se Sab Ambiya Aa Gaye
Peshwai Ko Khud Mustafa Aa Gaye
Maara Jibraeel Maara Jibraeel Nare Haidere
Ya Ali
Phir Wo Lamhe Khushi Ke Qareeb Aa Gaye
Mustafa Sigah e Aqd Parhne Lage
Khud Ba Khud Lafz Saare Qasiday Bane
Sub Marahil Bahusno o Khushi Teh Huye
Marzi e Kibriya Haq Mehar Ban Gayi
Gungunati Fizaa Gungunati Hawa
Aagaye Aagaye Baraat Ke Hain Anbiya
Aur Khadija Ne Aanchal Ka Saya Kiya
Khum Ke Saghar Chalakne Lagaye Ja Bajah
Beti Rukhsat Hui Aankh Num Ho Gayi
Kis Qadar Khush Hain Farhan O Zill e Raza
Haq e Midhat Bhi Yun Ho Raha Hai Ada
Us Ki Zojah Bani Hai Aaj Khair Ul Nisa
Jis Ko Kehte Hain Sab Mazhar E Kibriya
Shor e Sal e Allah Mein Hui Rukhsati
