Shimr Khanjar Na Chala

Shimr Ne Gardan E Mazloom Pe Khanjar Jo Rakha
Kuch Qadam Dur Se Deti Rahi Zainab Ye Sada
Akhri Bar Behan Chum Le Bhai Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala
Jor Kar Hath Ye Kehti Rahi Bint E Zahra
Shimr Khanjar Na Chala

Teer Jee Bhar Ke Isay Mar Chuka Hai Lashkar
Barchiyan Pehlu Mein Tooti Hain Sitam Aur Na Kar
Khud He Aa Jaye Gi Kuch Dair Mein Bhai Ko Qaza

Akhri Mujh Se Mulaqat Usay Karni Hai
Aisa Lagta Hai Koi Baat Usay Karni Hai
Itni Hasrat Se Mujhe Dekh Raha Hai Bhaiya

Minatein Karti Hoon Zalim Teri Aisa Tou Na Kar
Asar Ke Waqt Mere Ghar Mein Andhera Tou Na Kar
Sham Se Pehle Bujhata Hai Charag E Zahra

Ye Dil O Jan E Rasool E Arbi Hai Zalim
Sath Mazloom Ke Ye Be Adabi Hai Zalim
Misal E Quran Hai Ye Zanu Tou Seene Se Hata

Sun Ke Hal Min Ki Sada Ayi Hai Ran Main Bachi
Chal Na Jaye Kahin Dono Pe Laeen Teri Churi
Dekh Bhai Ke Gale Par Hai Sakina Ka Gala

Kaat Kar Sham He Le Jane Hain Sar Tujh Ko Agar
Phair Le Aon O Muhammad Ke Galon Par Khanjar
Mere Bhaiya Ke Na Kar Jism Se Tu Sar Ko Juda

Dekh Sakta Nahi Tu Jo Nazar Ata Hai Mujhe
Wasta Deti Hoon Tatheer Ki Ayat Ka Tujhe
Hath Amma Ne Hai Shabeer Ki Gardan Pe Rakha

Kaat Kar Sajde Mein Akbar Sheh E Wala Ka Gala
Shimr Hansta Hua Shabeer Ke Seena Se Utha
Gunjti Reh Gayi Maqtal Mein Ye Zainab Ki Sada

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *