Ye Haal Ho Gaya Baba Bhare Madine Main
Akeli Ho Gayi Zahra Bhare Madine Main
Hamara Jalta Huwa Dar Bhujane Ki Khatir
Rasan Ali Ke Gale Se Chhurane Ki Khatir
Koi Bhi Ghar Sa Na Nikla Bhare Madine Main
Haye Wo Jis Ko Bizat o Minni Khud Aap Kehte Tha
Ghazab Hai Aap Ki Us PardahDaar Beti Pe
Kisi Ne Haath Uthaya Bhare Madine Main
Haye Ye Dukh Sakina Ko Zainab Mera Suna Dena
Usse Tu Shaam Ghareeban Main Shimr Marega
Mujhe Laga Hai Tamacha Bhare Madine Main
Ghaadir Yad Dilane Gharon Pe Jaati Hon
Main Un Pe Dastakain De De Ke Laut Aati Hon
Koi Bhi Dar Nahi Khulta Bhare Madine Main
Ary Thi Mere Saamne Rassi Main Gardan E Haider
Mujhe Ali Ne Na Us Waqt Roka Hota Agar
Na Rehta Koi Bhi Zinda Bhare Madine Main
Hamare Ghar Ka Dhwan Bhi Nazar Na Aaya Unhain
Na Mere Bachon Ki Aahon Ne Bhi Jagaya Unhain
Sukoon Se So Gayi Duniya Bhare Madine Main
Ary Main Bait e Huzn Main Jati Thi Aap Ko Rone
Use Bhi Aag Laga Di Hai Kalama Go Ne
Main Ro Bhi Payi Na Baba Bhare Madine Main
Ary Aye Baba Mujhe Ko Yahi Baat Kahae Jaati Hai
Koi Bhi Keh Nahi Paaya Batool Sacchi Hai
Kaha Gaya Mujhe Jhoota Bhare Madine Main
Haye Abu Turab Se Keh Kar Mujhe Bulaya Tha
Arey Yeh Shehar Aap Ne Kya Is Liye Basaya Tha
Batool Khati Hai Durah Bhare Madine Main
Sitam Hai Ab Bhi Takallum Batool Par Jaari
Jaha Pe Qabar e Zehra Ke 4 Beton Ki
Hai Bus Wahe Pe Andhera Bhare Madine Main
